MUSLIM SALEEM – NAZAM “SAPNON KI RAAKH” 2 – december 2019

MUSLIM SALEEM – NAZAM “SAPNON KI RAAKH”
2 – december 2019
SIRF YAADOON KA AB DHUAAN HAI WAHAAN
SAR PHIRE ISHQ LE CHALAA HAI KAHAAN
MEHKE LAMHON KE WEERAN KHANDAR MAIN
KYA BACHAA HOGA KOI DHUNDLA NISHAAN
GIR CHUKI HAIN YAQEEN KI DEEWAAREN
KHWAAB KA BHI NAHEEN KOI IMKAAAN

SAR PHIRA ISHQ MUJH SE YUN BOLA
MAIN NAHEEN AAP HI HAIN DEEWANE
UN MEN IK DIN SHARAAB UBALTI THI
REZA REZA HAIN AB JO PAIMAAANE
RAAKH SAPNON KI QEEMTI HAI BAHUT
JIS KI DAULAT HAI YEH WAHI JAANE

Posted in Uncategorized | Leave a comment

MUSLIM SALEEM – 24 NOVEMBER 2019 TAQDEER KI MUJH SAY YUNHEEN TAKRAAR CHALEGI

MUSLIM SALEEM – 24 NOVEMBER 2019
TAQDEER KI MUJH SAY YUNHEEN TAKRAAR CHALEGI
MAIN SAAYE MAIN BAITHOONGA TO DEEWAR CHALEGI
TAQDEER PE UNGLI KOI HARGIZ NA UTHHAYE
KIS SAMT HAWAA KYA KHABAR IS BAAR CHALEGI
HAAKIM HAI TOU JO CHAHE WOH QANOON BANAA LE
IS DIL PE MAGAR MARZI-E-DILDAAR CHALEGI
KHUL KAR NAHEEN KEHTE NA KAHO SHARM KAY BAA’IS
IK HOON BHI TUMHARI MIRE SARKAAR CHALEGI
MASHOOR HAI AB MERI TUMHARI YEH KAHAANI
IQARAAR KARO YAA KARO INKAAR CHALEGI

Posted in Muslim Saleem's works | Leave a comment

MUSLIM SALEEM KO TAHIR TARAASH KA NAZRANA

MUSLIM SALEEM KO BHOPAL KE UBHARTE SHAIR TAHIR TARAASH KA NAZRANA


ANDAZ SHAIRANA HAI MUSLIM SALEEM KA
HAR SHER QATILANA HAI MUSLIM SALEEM KA
KARTE HAIN RAQS UNKE ISHAARE PE QAAFIYE
LAFZON KA SHAMIYANA HAI MUSLIM SALEEM KA

Posted in Muslim Saleem's works | Leave a comment

MUSLIM SALEEM – 7 NOVEMBER 2019 CHAL PADAY HAIN NAI RAAH PE

MUSLIM SALEEM – 7 NOVEMBER 2019
CHAL PADAY HAIN NAI RAAH PE MIL KE HAM, PEECHHE MUD KAR NAHEEN DEKHNA AB HAMEN
LOG KEHTE HAIN JISKO RAH E BE-KHUDI, MIL GAYA HAI WAHI RASTAA AB HAMEN
WASL KA HAI SAMAAN, JHOOM UTHHA AASMAAN, AAJ MANZIL PE HAI ISHQ KA KARWAAN
AY CHAMAN KHUSHBU’ON SE HAMEN GHUSL DE, AY SABA TU TARAANE SUNA AB HAMEN
AISA LAGTA HAI DONON KI TAQDEER KO EK HI LAUH PAR HAI TARAASHA GAYA
JAB KHUDA KI BHI MARZI YAHI HAI TOU PHIR, KOYEE KAR PAYEGA KYA JUDA AB HAMEN
PEHLE TANHAA THAY AB MUTTAHID HO GAYE, BAAL BEEKA NA KAR PAYEGA AB KOI
AANDHIYO AUR TOOFANO SUN LO ZARAA, MIL GAYA HAI NAYA HAUSLA AB HAMEN
BAAT FIRQON KI HARGIZ NA KOI KARAY. MASLAKON KA BHI AB TAZKIRA KUCHH NA HO
JANM SE TOU HAIN MUSLIM MAGAR AY KHUDAA TU MUSLAMAN SACHCHA BANAA AB HAMEN

Posted in Muslim Saleem's works | Leave a comment

MUSLIM SALEEM – BIRTHDAY – NOVEMBER 1

MUSLIM SALEEM – BIRTHDAY – NOVEMBER 1
UMR KA EK AUR SAAL GAYA
JISM BHI JAANIB E ZAWAAL GAYA
KYUN MANAATE HAIN JASHN E SAAL GIRAH
KYA KABHI IS PE BHI KHAYAL GAYA?

Posted in Uncategorized | Leave a comment

MUSLIM SALEEM – JHEEL SI USKI ANKHON MAIN DEKHA

MUSLIM SALEEM – 14 OCTOBER 2019
JHEEL SI USKI ANKHON MAIN DEKHA
HO GAYE GHARQ CHAHON MAIN DEKHA!
JASHN HAI DIL KI MEHFIL MAIN JAB SE
IK ISHARA NIGAHON MAIN DEKHA
ANKH SE USKO DEKHA THA IK PAL
PHIR TOU DHADKAN MAIN, SANSON MAIN DEKHA
KHUSH NASEEBI HAMARI HAI CHHAT PAR
CHAND KO KAALI RAATON MAIN DEKHA
DIL KI HASRAT NE JANNAT NAZAARA
NAAZ NAKHRON MAIN GHAATON MAIN DEKHA

Posted in Uncategorized | Leave a comment

MUSLIM SALEEM …..MOB LYNCHING

MUSLIM SALEEM …..MOB LYNCHING
KAISA INSAF, KAISI ADALAT
HAI PATAA AUR PATAA HI NAHEEN
BHEED NE MAAR DAALA KISI KO
JURM KOI HUAA HAI NAHEEN

Posted in Dr. Saleem Wahid Saleem | Leave a comment

Ghazal … TU NAHEEN, RAASTA HI NAHEEN ….Muslim Saleem

MUSLIM SALEEM – 13 OCTOBER 2019
TU NAHEEN, RAASTA HI NAHEEN
AB KAHEEN KUCHH BACHAA HI NAHEEN
DIL DIWANA HAI TERE SIWA
AUR KUCHH DEKHTA HI NAHEEN
AAP JAISE HAIN, IS ZINDAGI MAIN
KOI AISA MILA HI NAHEEN
AAJKAL WO KHATAAKAR HAI
JISKI KOI KHATA HI NAHEEN
DIL TIRI RAAH MAIN DAT GAYA HAI
HAT HAI AISI, HATAA HI NAHEEN
HAR TARAF SE DABAAO THA BHAARI
PHIR BHI MUSLIM DABAA HI NAHEEN

Posted in Muslim Saleem's works | Leave a comment

ASLAM MIRZA’S COMPREHENSIVE STUDY OF SIRAJ AURANGABADI IN HINDI

ASLAM MIRZA’S COMPREHENSIVE STUDY OF SIRAJ AURANGABADI IN HINDI
By Muslim Saleem
Aslam Mirza is great writer and poet of India based at Aurangabad. He has scored innumerous books in Urdu. This is for the first time he has compiled a book in Hindi to help Hindi people understand the value and greatness of Siraj Aurangabdi’s kalaam. Siraj, a sufi saint of 18th century, was one of the pillars of modern Urdu after Wali Deccani. Aslam Mirza has taken pains to write meanings of difficult Urdu words in Hindi with every ghazal, which is highly commendable and will help Hindi readers to grasp meaning and mood of ghazals.
Pages 203
Price: Rs 300
Publisher
Mirza World Book House,
Hameed Complex, Qaisar Colony,
Aurangabad-431001
Mob: 0932503227

Posted in Muslim Saleem's works | Leave a comment

Hamne khud apna khoon piya hai mat poochho—Muslim Saleem

MUSLIM SALEEM SIX OCTOBER TWENTY NINETEEN
Hamne khud apna khoon piya hai mat poochho
Kitni mehngi dil ki dawa hai mat poochho
Dekh lo tum aamaal hamare aur samajh lo
Hamse kyun naraaz Khuda mat poochho
Chhed ke ik din shokh haseen ko dekho tou
Aandhi hai ya baade saba hai mat poochho
Dhool udaao thodi si phir jaanoge
Kis rukh par kid samt hawa hai mat poochho
Asl ye hai Muslim ki wajhe naakami
Amal naheen aur lab pe dua hai mat poochho

Posted in Uncategorized | Leave a comment

INSAAF HAI YEH KAISA, KAISI YEH ADALAT HAI

MUSLIM SALEEM – 17 SEPTEMBER 2019
INSAAF HAI YEH KAISA, KAISI YEH ADALAT HAI
ZAALIM KI HIMAYAT HAI, MASOOM KI AAFAT HAI
AB MULK MAIN MAHFOOZ NAHEEN KOI IDAARA
JAMHOORI USOOLON KI HAR SAMT HALAAKAT HAI

Posted in Uncategorized | Leave a comment

Nazr e Imam Hussain AS on 10 Muharram

Muslim Saleem
kuchh is tarah se mitaaya hai naam zaalim ka
ke door door bhi uska asar naheen milta
Hussain naam ke mil jaate hain hazaaron log
Yazeed naam ka koi bashar naheen milta

Posted in Uncategorized | Leave a comment

IS DAUR MAIN MILAWATI KITNA KHULOOS HAI

MUSLIM SALEEM – 21 JULY 2019
IS DAUR MAIN MILAWATI KITNA KHULOOS HAI
AADHI HAI CHALBAZI TO AADHA KHULOOS HAI
ALLAH US HASEEN KO RAKKHE PANAAH MAIN
DUNIYA KI ZAD PE EK KUNWARA KHULOOS HAI
LUTATA HOON BAAR BAAR MAIN SAB JAAN BOOJH KAR
MAIN KYA KAROON KE MERA TAREEQA KHULOOS HAI

Posted in Muslim Saleem's works | Leave a comment

MAIN CHOOM LOON INHEN MUJH KO YEH KAAM KARNE DE

MUSLIM SALEEM 20 JULY 2019
MAIN CHOOM LOON INHEN MUJH KO YEH KAAM KARNE DE
TIRE LABON KA MUJHAY IHTIRAAM KARNE DE

Posted in Muslim Saleem's works | Leave a comment

PAAR HAM HADDE MAHABBAT AAJ HI KAR JAYENGE

MUSLIM SALEEM – 19 JULY 2019
PAAR HAM HADDE MAHABBAT AAJ HI KAR JAYENGE
AAPKA KYA HAI KISI DIN BAYRUKHI KAR JAYENGE
CHHED MAT GUSTAKH HONTON KO HAMARE WARNA YE
TERE CHEHRE PAR KOI MANZAR-KASHI KAR JAYENGE
POOCHH MAT HAR IK SE RASTA WARNA KUCHH AISE BHI HAIN
REHZANON KE GHAR KI JAANIB RAHBARI KAR JAYENGE
HAI YAQEEN HAMKO KE USKE KHANKHANAATE SE KHAYAAL
HONGE HAM GHAMGEEN TOU AAKAR GUDGUDI KAR JAYENGE
HAAR ZAALIM SE MAANEGE, DARA DENGE USAY
KUCHH NAHEEN TOU IK SADAA HI ZOR KI KAR JAYENGE

Posted in Muslim Saleem's works | Leave a comment

RAAT BHAR DAASTAN PIGHALTI RAHI

MUSLIM SALEEM – 18 JULY 2019
SHAMA DE KAR DHUAAN PIGHALTI RAHI
RAAT BHAR DAASTAN PIGHALTI RAHI
SAARI AULAD HO GAYEE KHUSH-HAAL
KYUNKE DIN RAAT MAAN PIGHALTI RAHI
JAB TALAK DILRUBA THA PEHLU MAIN
GARM SAANSON SE JAAN PIGHALTI RAHI
CHHIN GAYEE RAFTA RAFTA GOYAYEE
BAYKASON KI ZABAAN PIGHALTI
FAJR MAIN UTTH NAHEEN SAKAA MUSLIM
KAAN MAIN GO AZAAN PIGHALTI RAHI

Posted in Muslim Saleem's works | Leave a comment

MUSLIM SALEEM – 18 july 2019 SHAMA DE KAR DHUAAN PIGHALTI RAHI

MUSLIM SALEEM – 18 july 2019
SHAMA DE KAR DHUAAN PIGHALTI RAHI
RAAT BHAR DAASTAN PIGHALTI RAHI

Posted in Muslim Saleem's works | Leave a comment

MUSLIM SALEEM – qata… AAJKAL USKI BADI AUQAT HAI

MUSLIM SALEEM – 8 JULY 2019
AAJKAL USKI BADI AUQAT HAI
MEDIA KA JHOOT JISKE SAATH HAI
LOOTNE NIKLI HAI SAARE MULK KO
BACH KE REHNA CHORON KI BAARAT HAI

Posted in Muslim Saleem's works | Leave a comment

EK BAHUT IMAN-AFROZ WAQI’A

EK BAHUT IMAN-AFROZ WAQI’A ….WHAT HAPPENED WHEN KANHAIYYALAL GABA EMBRACED ISLAM?

Posted in Uncategorized | Leave a comment

Naatia Qata: SAMAJH LO KHUD HI WO KITNI AZEEM ZAAT HUI

MUSLIM SALEEM 20 MAY 2019
SAMJH LO KHUD HI WO KITNI AZEEM ZAAT HUI
NABI (saw) KE NOOR SE TAKHLEEQ KAINAAT HUI
SHARAF YE AUR KISI KO NAHEEN HUA HAASIL
KHUDAA KI DEED HUI AUR KHUDA SE BAAT HUI

Posted in Muslim Saleem's works | Leave a comment

MUSLIM SALEEM – 7 MAY 2019 USKI ADAA NAY RAKH DIYA KHUD HAMKO MAAR KAY

MUSLIM SALEEM – 7 MAY 2019
USKI ADAA NAY RAKH DIYA KHUD HAMKO MAAR KAY
HAMKO PATAA NAHEEN THAY IRAADE SHIKAR KAY
BOSEEDA PAIRHAN KOI KAB TAK SIYA KARE
BAKHIYE UDHAD GAYE HAIN BAHUT AITBAAR KAY
SEERAT BHALI NA JAANIYE SOORAT KO DEKH KAR
DAAWE GHALAT BHI HOTAY HAIN KUCHH ISHTIHAAR KAY
DHUNDHLA GAYE HAIN AAJ ZAMANAY KI GARD MAIN
JO KUCHH SAJAA KAY RAKKHAY THAY SAPNAY BAHAAR KAY

Nishant Jain shared and commented

आदरणीय मुस्लिम सलीम जी को जब से फेसबुक के माध्यम से पढ़ना शुरू किया तो अपनी छटाँक सी बुद्धि से दावे के साथ कह सकता हुँ कि इनकी कलम जब भी कुछ लिखती है बेहद ही शानदार ही लिखती है….जिनकी हर कलम उम्दा ही लिखती है…..ईश्वर इन्हें खुशियों भरी लंबी कलम सहित दीर्घ आयु प्रदान करे..💐💐

उसकी अदा ने रख दिया ख़ुद हमको मार के
हमको पता नहीं थे इरादे शिकार के
बोसीदा पैरहन कोई कब तक सिया करे
बखिये उधड़ गए हैं बहुत एतबार के
सीरत भली न जानिए सूरत को देखकर
दावे गलत भी होते हे कुछ इश्तिहार के
धुंधला गए हैं आज ज़माने की गर्द में
जो कुछ सजा के रक्खे थे सपने बहार के ।
@मुस्लिम सलीम

Posted in Muslim Saleem's works | Leave a comment

مسلم سلیم پر تحقیقی مقالہ یونی ورسٹی میں پیش

مسلم سلیم پر تحقیقی مقالہ یونی ورسٹی میں پیش

 Muslim Saleem par tehqeeqi maqalah university mein paish

Bhopal,February 8, 2019 : bain ul aqwami shayar aur urdu web directories ke khaaliq muslim Saleem par tehqeeqi maqalah GC university, Lahore mein pesh kar diya gaya hai. Professor Aisha Saleem ki zair-e nigrani ”Muslim Saleem ke majmoo’e aamad aamad ka taziyati mutala’a“ unwan se yeh tahqeeqi aur tjzyati maqalah research scholar mohtarma Iqra Riasat ne murattab kiya hai. Maqalah ko 4 abwab par munqasim kiya gaya hai jin mein 1. Halaat e zindagi 2. 1947 ke baad shairi ki rivayet 3. Muslim Saleem ke majmoo’e aamad aamad ka fikri mutalea aur 4. muslim Saleem ke majmoo’e aamad aamad fanni mutalea shaamil hain .
paish lafz mein research scholar iqra riasat ne bataya ke unhon ne muslim Saleem ka intikhab internet par maujood unkay aala kalaam aur karnamon ke mad e nazar kya jabkay woh muslim Saleem se zaati tor par nawaqif theen. is mein nigaran professor aisha Saleem neh ahem rahnumani farmai. askalr neh likha hai ke muslim Saleem internet ke zareya duniya ke mukhtalif hisson mein aik bakmal shayar ke tor par pehchane ja rahay hain. jahan taq muslim Saleem ki fikri upaj ka talluq hai to un ke yahan tamam tar shoba haae zindagi ko mauzo banaya gaya hai. mohabbat, gham, hasrat o umeed, kaayenaat ke masail se leker jadeed daur aur is mein honay wali scienci eejadat aur jadeed tiknoloji ka barri chaabak dasti aur khoubsurti se bayan kya gaya hai. isi terhan fani aitbaar se bhi yeh majmoa aala sheri miyaar ka haamil hai .
reserch askalr ke mutabiq muslim ki shairi mein maghribi mufakreen aur shair o sukhan ke mutalea ki jhalak numaya hai. alfaaz o trakib, roz marrah, mahawraat, qafia aur دیف ka Bar mehal istemaal ghazal mein shayar ke aala fankar honay ki Daleel hai. un ke paas susti jazbatiat ke le y koi jagah nahi hai. scholar ke mutabiq is tehqeeqi maqalay ka maqsad duniya ke munfarid shayar muslim saleem ki kawishon ka manzar aam par lana hai taakay mustaqbil qareeb mein adab ke taalib ilm is se istifada kar saken .

مسلم سلیم پر تحقیقی مقالہ یونی ورسٹی میں پیش

بھوپال: بین الاقوامی شاعر اور اردو ویب ڈاریکٹریز کے خالق مسلم سلیم پر تحقیقی مقالہ جی۔سی۔ یونی ورسٹی، لاہور میں میںپیش کر دیا گیا ہے۔پروفیسر عائشہ سلیم کی زیرِ نگرانی ”مسلم سلیم کے محموعہ آمد آمد کاتجزیاتی مطالعہ“ عنوان سے یہ تخقیقی اور تجزیاتی مقالہ ریسرچ اسکالر محترمہ اقرا ریاست نے مرتب کیا ہے۔مقالہ کو۴ ابواب پر منقسم کیا گیا ہے جن میں ۱۔حالاتِ زندگی۲۔1947 کے بعد شاعری کی روایت ۳ مسلم سلیم کے محموعہ آمد آمد کافکری مطالعہ اور ۴ مسلم سلیم کے محموعہ آمد آمد کافنّی مطالعہ شامل ہیں۔
پیش لفظ میں ریسرچ اسکالر اقرا ریاست نے بتایا کہ انھوں نے مسلم سلیم کا انتخاب انٹرنیٹ پر موجود انکے اعلی کلام اور کارناموں کے مدنظر کیا جبکہ وہ مسلم سلیم سے ذاتی طور پر ناواقف تھیں۔اس میں نگراں پروفیسر عائشہ سلیم نے اہم رہمنائی فرمائی۔اسکالر نے لکھا ہے کہ مسلم سلیم انٹرنیٹ کے ذریعہ دنیا کے مختلف حصوں میں ایک باکمال شاعر کے طور پر پہچانے جا رہے ہیں۔جہاں تک مسلم سلیم کی فکری اپج کا تعلق ہے تو ان کے یہاں تمام تر شعبہ ہائے زندگی کو موضوع بنایا گیا ہے۔محبت، غم، حسرت و امید، کائنات کے مسائل سے لیکر جدید دور اور اس میں ہونے والی سائنسی ایجادات اور جدید ٹیکنولوجی کا بڑی چابک دستی اور خوبصورتی سے بیان کیا گیا ہے۔اسی طرح فنی اعتبار سے بھی یہ مجموعہ اعلی شعری معیار کا حامل ہے۔
ریسرچ اسکالر کے مطابق مسلم کی شاعری میں مغربی مفکرین اور شعر و سخن کے مطالعہ کی جھلک نمایاں ہے۔ الفاظ و تراکیب، روزمرہ، محاورات، قافیہ اور دیف کا بر محل استعمال غزل میں شاعر کے اعلیٰ فنکار ہونے کی دلیل ہے۔ ان کے پاس سستی جذباتیت کے لےے کوئی جگہ نہیں ہے۔اسکالر کے مطابق اس تحقیقی مقالے کا مقصددنیا کے منفرد شاعر مسلم سلم کی کاوشوں کا منظرِ عام پر لانا ہے تاکہ مستقبل قریب میں ادب کے طالب علم اس سے استفادہ کر سکیں

Posted in Muslim Saleem's works | Leave a comment

buzurg, video aur ear-phone – poem by Muslim Saleem

buzurg, video aur ear-phone
Shewa hai buzurgon ka ke bachchon se chhupa kar
woh video suntay hain ear-phone laga kar
kuch aur naheen, dekhte hain film purani
maazi ki jawani ke haseen khwab saja kar
bachchay to bade hotay hi begane hue hain
youtube se ab dosti karli hai daba kar
Naushad o Ravi, Nayyer o S.J. bhi hain haazir
Talat o Rafi , Asha, Lata mlitay hain aakar
woh daur sunehri tha nai nasal yeh sun le
fankar they woh aisay jo atay nahi ja kar
Yousuf hon Gurudutt hon, woh meena ke Madhu hon
le jatay hain jazbaat ki lehron mein baha kar
ab Jani o Mahmood ka milta nahi sani
GhamgeeN hoN agar hum to yeh jatay hain Hansaa kar
maddahon mein fankaron ke Muslim bhi hai shaamil
dataa hain woh naghmon ke to saame hai gadagar
.. .. .. .. .. .. .. .. .. .
Nayyer= o. p Nayyer, s. j. = Shankar jaikishan, Yusuf = dilip kumar, meena. meena kumari, madhu. madhubala, jani. Johney Walker, gadagar. bhikari

Posted in Uncategorized | Leave a comment

jhoot se Iqtidaar milta hai…muslim Saleem – 18 february 2019



muslim Saleem – 18 february 2019
yeh miray daur ki haqeeqat hai sach se kaanton ka haar milta hai
rehnuma sab yeh maan baithay hain jhoot se Iqtidaar milta hai
sachche aashiq ka har zamane mein bas yahi haal-e zaar milta hai
Qais farhaad ho ke raanjha ho pairhan taar taar milta hai
chhor day maikashi mahabbat kar dekh kya tujh ko yaar milta hai
aisi masti kahan hai bottle mein mein jo khumar milta hai
manzilon ki taweel raahon mein sabr ka khar=zaar milta hai
tuutati hain khizaan ki zanjeeren tab pPayam e bahar milta hai
Sarhad e ishhq se zara agay aik aabi mazaar milta hai
jisko koi uboor kar na sakay behr ik be kinar milta hai
be sabab aik dosray ke liye ab dilon main ghubar milta hai
shahr e ulfat jahan pe basta tha nafratoon ka dayaar milta hai
nafratoon ki kateeli jhaari par zehr phal bay-shumaar milta hai
roz-afzoon farogh par Muslim zulm ka kaarobar milta hai

Posted in Uncategorized | Leave a comment

MUSLIM SALEEM – KHALIPAN KA DARD

MUSLIM SALEEM – KHALIPAN KA DARD

NAA DAFTAR NA MEZ AUR NAAM KI TAKHTI HAI
MAIN HOON RETIRE AB YE MERI HASTI HAI
LOGON KO AB MUJH SE KOI KAAM NAHEEN
MERE PHONE KI GHANTI KAM HI BAJTI HAI

Posted in Muslim Saleem's works | Leave a comment

Muslim Saleem par tehqeeqi maqalah university mein paish

Bhopal,February 8, 2019 : bain ul aqwami shayar aur urdu web directories ke khaaliq muslim Saleem par tehqeeqi maqalah GC university, Lahore mein pesh kar diya gaya hai. Professor Aisha Saleem ki zair-e nigrani ”Muslim Saleem ke majmoo’e aamad aamad ka taziyati mutala’a“ unwan se yeh tahqeeqi aur tjzyati maqalah research scholar mohtarma Iqra Riasat ne murattab kiya hai. Maqalah ko 4 abwab par munqasim kiya gaya hai jin mein 1. Halaat e zindagi 2. 1947 ke baad shairi ki rivayet 3. Muslim Saleem ke majmoo’e aamad aamad ka fikri mutalea aur 4. muslim Saleem ke majmoo’e aamad aamad fanni mutalea shaamil hain .
paish lafz mein research scholar iqra riasat ne bataya ke unhon ne muslim Saleem ka intikhab internet par maujood unkay aala kalaam aur karnamon ke mad e nazar kya jabkay woh muslim Saleem se zaati tor par nawaqif theen. is mein nigaran professor aisha Saleem neh ahem rahnumani farmai. askalr neh likha hai ke muslim Saleem internet ke zareya duniya ke mukhtalif hisson mein aik bakmal shayar ke tor par pehchane ja rahay hain. jahan taq muslim Saleem ki fikri upaj ka talluq hai to un ke yahan tamam tar shoba haae zindagi ko mauzo banaya gaya hai. mohabbat, gham, hasrat o umeed, kaayenaat ke masail se leker jadeed daur aur is mein honay wali scienci eejadat aur jadeed tiknoloji ka barri chaabak dasti aur khoubsurti se bayan kya gaya hai. isi terhan fani aitbaar se bhi yeh majmoa aala sheri miyaar ka haamil hai .
reserch askalr ke mutabiq muslim ki shairi mein maghribi mufakreen aur shair o sukhan ke mutalea ki jhalak numaya hai. alfaaz o trakib, roz marrah, mahawraat, qafia aur دیف ka Bar mehal istemaal ghazal mein shayar ke aala fankar honay ki Daleel hai. un ke paas susti jazbatiat ke le y koi jagah nahi hai. scholar ke mutabiq is tehqeeqi maqalay ka maqsad duniya ke munfarid shayar muslim saleem ki kawishon ka manzar aam par lana hai taakay mustaqbil qareeb mein adab ke taalib ilm is se istifada kar saken .

مسلم سلیم پر تحقیقی مقالہ یونی ورسٹی میں پیش

بھوپال: بین الاقوامی شاعر اور اردو ویب ڈاریکٹریز کے خالق مسلم سلیم پر تحقیقی مقالہ جی۔سی۔ یونی ورسٹی، لاہور میں میںپیش کر دیا گیا ہے۔پروفیسر عائشہ سلیم کی زیرِ نگرانی ”مسلم سلیم کے محموعہ آمد آمد کاتجزیاتی مطالعہ“ عنوان سے یہ تخقیقی اور تجزیاتی مقالہ ریسرچ اسکالر محترمہ اقرا ریاست نے مرتب کیا ہے۔مقالہ کو۴ ابواب پر منقسم کیا گیا ہے جن میں ۱۔حالاتِ زندگی۲۔1947 کے بعد شاعری کی روایت ۳ مسلم سلیم کے محموعہ آمد آمد کافکری مطالعہ اور ۴ مسلم سلیم کے محموعہ آمد آمد کافنّی مطالعہ شامل ہیں۔
پیش لفظ میں ریسرچ اسکالر اقرا ریاست نے بتایا کہ انھوں نے مسلم سلیم کا انتخاب انٹرنیٹ پر موجود انکے اعلی کلام اور کارناموں کے مدنظر کیا جبکہ وہ مسلم سلیم سے ذاتی طور پر ناواقف تھیں۔اس میں نگراں پروفیسر عائشہ سلیم نے اہم رہمنائی فرمائی۔اسکالر نے لکھا ہے کہ مسلم سلیم انٹرنیٹ کے ذریعہ دنیا کے مختلف حصوں میں ایک باکمال شاعر کے طور پر پہچانے جا رہے ہیں۔جہاں تک مسلم سلیم کی فکری اپج کا تعلق ہے تو ان کے یہاں تمام تر شعبہ ہائے زندگی کو موضوع بنایا گیا ہے۔محبت، غم، حسرت و امید، کائنات کے مسائل سے لیکر جدید دور اور اس میں ہونے والی سائنسی ایجادات اور جدید ٹیکنولوجی کا بڑی چابک دستی اور خوبصورتی سے بیان کیا گیا ہے۔اسی طرح فنی اعتبار سے بھی یہ مجموعہ اعلی شعری معیار کا حامل ہے۔
ریسرچ اسکالر کے مطابق مسلم کی شاعری میں مغربی مفکرین اور شعر و سخن کے مطالعہ کی جھلک نمایاں ہے۔ الفاظ و تراکیب، روزمرہ، محاورات، قافیہ اور دیف کا بر محل استعمال غزل میں شاعر کے اعلیٰ فنکار ہونے کی دلیل ہے۔ ان کے پاس سستی جذباتیت کے لےے کوئی جگہ نہیں ہے۔اسکالر کے مطابق اس تحقیقی مقالے کا مقصددنیا کے منفرد شاعر مسلم سلم کی کاوشوں کا منظرِ عام پر لانا ہے تاکہ مستقبل قریب میں ادب کے طالب علم اس سے استفادہ کر سکیں۔

Posted in Muslim Saleem's works | Leave a comment

LIKHAA PHIR MITAAYA, MITAA KAR LIKHA PHIR – MUSLIM SALEEM

MUSLIM SALEEM – 8 FEBRUARY 2019
LIKHAA PHIR MITAAYA, MITAA KAR LIKHA PHIR
TIRAA NAAM HI HO GAYAA MASHGHALA PHIR
DUA SE MILI SHAADMANI MAIN GHAAFIL
BHUGAT-TAY HAIN JAB, MAANGTE HAIN DUA PHIR
HAIN SAYYAD SAB BAUKHLAYE HUAY SE
CHAMAN MAIN MAHABBAT KA GHUNCHA KHILAA PHIR
MAHABBAT KE IZHAAR PAR US KA CHEHRA
BANAA PHOOL ANGAARA AISA HUA PHIR
YE ‘PHIR’ KITNI MUDDAT KO HOTA HAI MUSLIM?
KAHAA HAM NE MILNE KO US NE KAHAR PHIR

Posted in Muslim Saleem's works | Leave a comment

DIN PHIR SE PALAT AAYEn APNE WO SUKOOn WAALE

MUSLIM SALAEEM – 3 FEBRUARY 2019
DIN PHIR SE PALAT AAYEn APNE WO SUKOOn WAALE
TU HAM PE KARAM KAR DAY AY KUN-FAYOOn WALE
KEHTE HAIn JUNOOn WAALE SUNTE HAIn JUNOOn WAALE
JEE-DAARI KI BAATEn HAIn QISSE HAIn YE KHOOn WAALE
“NAA” KEH KE JO DUKH JHELEn WO LOG BAHUT KAM HAIN
“HAAn” WAALE HAZAAROn HAIN AUR LAAKHOn HAIn “HOOn” WAALE
SUN KAR INHEN ZEHNOn MAIn SHOLE SE BHADAKTE HAIn
ASH’AAR HAMAARE HAIn YE SOZ E DUROOn WAALE
IMAAN PE ATAL HAIn JO HAR HAAL MAIn AY MUSLIM
INSAAN WO LAGTE HAIN KIRDAAR FUSOOn WAALE

Posted in Uncategorized | Leave a comment

DO-RANGI DO-GHAZLA… JAB DEKHTE HAIN RUKH KISI TAZA GULAB KA

MUSLIM SALEEM – DO-RANGI DO-GHAZLA
JAB DEKHTE HAIN RUKH KISI TAZA GULAB KA
HAR IK WARAQ PALAT-TAY HAIN DIL KI KITAB KA
HAR SAKHS APNI FIKR KE BAAIS HAI MUZTARIB
AALAM KISE BATAAIYE AB IZTIRAAB KA
WO CHAHE HAATH AYE NA AYE YE KAM NAHEEN
MAANEN GE LOG LOHA MIRE INTIKHAAB KA
NAKAAMIYON SE AAP KO MIL JAYEGI NIJAAT
DAAMAN PAKAD KE CHALIYE KISI KAAMYAB KA
KADWI HAQEEQATEN HAIN MAGAR ZINDAGI TOU HAI
KAB TOOT JAYE KOI BHAROSA HAI KHWAAB KA
(2)
DEEDAR KAR LIYA HAI KISI MAAHTAB KA?
KYUN RANG PHEEKA PHEEKA HAI AAJ AFTAB KA
MASJID MAIN GOONJNE LAGI RINGTONE PHONE KI
KAAR E SAWAAB BAN GAYA MOOJIB AZAAB KA
IBLEES NE CHURAA LEEN MIRI SAB IBADATEN
SAJDE MAIN NAQSHA RAKH DIYA HOOR O SAWAAB KA
ACHCHI RAHEGI AAP SE CHEMISTRI MIRI
JUGHRAAFIYA HASEEN BAHUT HAI JANAAB KA
HADDE ADAB NAHEEN KOI BAAD E MUSHAIRA
CHALTA HAI KHOOB DAUR SHARAAB O SHABAAB KA

Posted in Muslim Saleem's works | Leave a comment

Muslim Saleem … Aap Achchhe Shair hain dil Zara bada keeje

Muslim Saleem … 30 January 2019
Aap Achchhe Shair hain dil Zara bada keeje
Doosron ke sheron par daad bhi diya keeje
Hamko deed kaafi hai, saamne raha keeje
Pass gar naheen aate door se mila keeje
Yaad josh o masti main ye muhawra keeje
Leeje aql ke nakhun hosh ki dawa keeje
Ye hai wajh e nakami ham samajh naheen paaye
Kis se dosti rakhiye aur kise khafa keeje
Farq kuchh naheen padta aap dil main rehte hain
Chahe rakhiye nazdeeki chahe fasla keeje
Kyoon Daren zamane se jabke aap Muslim hain
Lashkar e shayaaten ka dat ke saamna keeje

Posted in Muslim Saleem's works | Leave a comment

Muslim Saleem ka kalaam Punj Radio USA se nashr

25 JANUARY 2019 KO AALAMI MUSHAIRE MAIN MUJHE SUNIYE —RAAT 9.30 SE 10.30 TAM MUSHAIRE MAIN MUSLIM SALEEM KI SHIRKAT HUI. IS MEN MUSLIM SALEEM NE DO GHAZLEN PARHI JINKO DAAD O TAHSEEN SE NAWAZA GAYA. PROGRAMME 126 MULKON MAIN SUNA GAYAA.

KHAS TAUR SE ASHAAR

DEO QAMAT WO SHAJAR JAB TEZ AANDHI MAIN GIRA

PASTA QAD JITNE THAY PAUDAY SAB QADAWAR HO GAYR

AUR

WO DEKHNE MAIN AB BHI TANAAWAR DARAKHT HAI

HAALAANKE WAQT KHOD CHUKA HAI JADEN TAMAM

IS LINK PAR CLICK KAREN
www.punjradiousa.weebly.com

Posted in Muslim Saleem's works | Leave a comment

MUJHE AISE QATL KIYA NA KAR – MUSLIM SALEEM

MUSLIM SALEEM – 23 JANAURY 2019
MUJHE AISE QATL KIYA NA KAR
YA JUDA NA HO YA MILA NA KAR
KAI IS MAIN TERAY BHI RAAZ HAIN
MIRI KHAMUSHI PE HANSAA NA KAR
GHAM O DARD SEH LE KHUSHI KHUSHI
TU KHUSHI KE GHAM MAIN GHULA NA KAR
HAI YE ZARB ISHQ KI AAN PAR
MAIN BARHOON TOU MUJH SE BACHAA NA KAR
MAIN TUJHI MAIN GUM HOON TO AY SANAM
MIRA HAAL CHAAL PATAA NA KAR

Posted in Muslim Saleem's works | Leave a comment

Jab raat hui duniya taaron se bhi kheli hai: Muslim Saleem

MUSLIM SALEEM – 22 DECEMBER 2019
jab raat hui duniya taaron se bhi kheli hai
ab din ke ujale main suraj ki saheli hai
mehboob ki hasti bhi khushbu ki haveli
hai mongra mehka sa, bheeni si chameli hai
hai sab pe ayaan phir bhi unsuljhi paheli hai
us zaat se sab kuchh hai jo zaat akeli hai
bola yeh nujoomi ne ghayab hain lakeeren hi
kuchh is main naheen dikhta muflis ki hatheli hai
shatir hai bahut duniya, uska yeh wateera hai
masoom iradon aur jazbaat se kheli hai
bay-mehri zamaane ki, ruswai ke mausam main
yakh-basta hawa yeh bhi jidaari se jheli hai
ab tu hi bachhaa Maula Muslim ko zamane main
haalaat ne us par ik chattan dhakeli hai

Posted in Muslim Saleem's works | 2 Comments

Tu jeet na paye gaa chaalaki ke pheron se – Muslim Saleem

Continue reading

Posted in Muslim Saleem's works | Leave a comment

JAZBAAT MAIN MEMAARI KI TAREEKH BANAA DI …..MUSLIM SALEEM

MUSLIM SALEEM – 18 JANUARY 2019
JAZBAAT MAIN MEMAARI KI TAREEKH BANAA DI
SADMON PE TABASSUM KI PARAT HAM NE SAJAA DI
WO HUSN DIYA RAB NE USAY AISI ADAA DI
QALLASH THAY HAM DAO PE TAQDEER LAGAA DI
GARDAN KO JHUKAANE KI HAR IK RASM UTHAA DI
HAM NE AI ZAMAANE TIRI AUQAAT BATAA DI
AI DARD E MAHABBAT KOI INSAAF NAHEEN HAI
ANKHON NE KHATAA KI THI TOU KYUN DIL KA SAZAA DI
MAHBOOB NE IS TARHA MIRE DIL KO JALAAYA
MERI HI MIRAY SAAMNE TAHREER JALAA DI
MAANA KE ZAR O MAAL MAYASSAR NA KARAAYA
GHAZLON NE MIRE HAATH MAIN SHUHRAT TOU THAMAA DI
LAFZON KA MUSAWWIR HAI JISE KEHTE HAIN MUSLIM
ASHAAR MAIN JAZBAAT KI TASWEER BANAA DI

Posted in Muslim Saleem's works | Leave a comment

TANHAA’I MAIN SHOR NA YUN DIN RAAT KARAY: Muslim Saleem

MUSLIM SALEEM – 17 JANUARY 2019
TANHAA’I MAIN SHOR NA YUN DIN RAAT KARAY
KHAMOSHI SE KEH DO DHEERE BAAT KARAY
YAAR HAI JO BHI CHAAHE MERE SAATH KARAY
CHHAHE SAATH NIBHA’E CHAAHE GHAAT KARAY
HAM HAIN CHIRAGH E RAAHGUZAR ALLAH QASAM
HAM SAY AANDHI AAKAR DO DO HAATH KARAY
BAY-AAHAT PHOOLON PE UTARTI HAI SHABNAM
RAB HAM PAR YUN RAHMAT KI BARSAAT KARAY
DIL HAI DIWAANA KYUN UMMEED LAGAATAY HO
JO BHI KARAY WO SAB HASB E HAALAAT KARAY

Posted in Muslim Saleem's works | Leave a comment

Yaden Aligarh ki : Muslim Saleem

علی گڑھ میری سانسوں میں بسا ہے
علی گڑھ میرے منہ سے بولتا ہے
جہاں جسکے سبب محوِ ثنا ہے
مجھے وہ سب علی گڑھ سے ملا ہے
دل اپنا چھوڑ آ یا ہوں وہاں میں
وطن بھوپال بے شک ہو گیا ہے
وہ میرس روڈ ہو یا قاضی پاڑہ
یہ دل اب بھی انھیں کو ڈھونڈتا ہے
گلی کوچوں میں اسکے آنا جانا
وہاں چوبیس برسوں تک رہا ہے
جو ایم۔اے۔او سے اے۔ایم۔ یو ہوا ہے
وہ سیّد کاثوابِ جاریہ ہے
اسے کہتے ہیں مسلم یونی ورسٹی
یہاں سے علم کا دریابہا ہے
سٹی اسکول کا بھی ذکر کردوں
کہ جواک درسگاہِ بے بہا ہے
یہیں پہلی غزل میں نے کہی تھی
یہیں سے میرے فن کی ابتدا ہے
اک ایم۔اے۔یو برانچ اسکول بھی تھا
جو اب تعلیمِ ِ نسواں دے رہا ہے
مرے استاد تھے قیوم صاحب
انھیں سے علم کا تحفہ ملا ہے
چلو اب بات کرلیں کیمپس کی
علاقہ یہ بہت ہی پر فضا ہے
بہاریں آرٹس فیکلٹی کی مسلم
انھیں سے باغِ جاں اب تک ہرا ہے

Yaden Aligarh ki …Muslim saleem

Aligarh meri saanson mein basa hai
Aligarh mere mun se boltaa hai
jahan jiske sabab mehve Sana hai
mujhe woh sab Aligarh se mila hai
dil apna chhor aaya hon wahan mein
watan bhopal beshak ho gaya hai
woh merris road ho ya qaazi para
yeh dil ab bhi unhein ko dhoondhta hai
gali koochon mein uskay aana jana
wahan chaubees barson tak raha hai
jo M.A.O se AMU hua hai
woh Syed ka sawab e Jariya hai
usay kehte hain muslim universty
yahan se ilm ka darya bahaa hai
city school ka bhi zikr kar doon
ke jo ik darsgah be-baha hai
yahin pehli ghazal mein ne kahi thi
yahin se mere fun ki ibtida hai
ik AMU you branch school bhi tha
jo ab talimِ e niswan de raha hai
miray ustaad they qayyum sahib
unhein se ilm ka tohfa mila hai
chalo ab baat karlen campus ki
ilaaqa yeh bahut hi pur fiza hai
baharen arts faculty ki muslim
unhein se baghِ e jaan ab tak hara hai

Posted in Muslim Saleem's works | Leave a comment

RADDI KI DUKKAN SE KYA KYA LE AYE: MUSLIM SALEEM

MUSLIM SALEEM – 16 JANUARY 2019
GHALIB MEER IQBAL AUR SAUDA LE AYE
RADDI KI DUKKAN SE KYA KYA LE AYE
MANTOO BEDI ISMAT KE AFSANE BHI
SHAMA BHI AUR JASOOSI DUNIYA LE AYE
MILE HAMEED, FAREEDI AUR IMRAN SE BHI
X-2, JULIA AUR THRESSA LE AYE
JO KUCHH RADDI SAMJHA AAJ KI NASLON NE
KAR KE USKO SAR SE OONCHA LE AYE
MUSLIM APNE DAUR SE HAMKO ULFAT HAI
LE KE KITABEN APNA ZAMANA LE AYE

Posted in Muslim Saleem's works | Leave a comment

AGAR HO AZM SHOLON KO BUJHA SAKTI HAI SHABNAM BHI: MUSLIM SALEEM

MUSLIM SALEEM – 15 JANUARY 2019
AGAR HO AZM SHOLON KO BUJHA SAKTI HAI SHABNAM BHI
QANAA’AT SAATH THI TOU KUCHH ZIYADA HI LAGAA KAM BHI
UMEEDEN BAANHEN PHAIALAAYE KHADI THEEN, DEED E JANNAT THI
UDHAR PARDE KE PEECHE MUNTAZIR THAA IK JAHANNAM BHI
GAYEE FASL E BAHARAAN AUR AAYA PAL JUDAAI KA
KHABAR KYA THI KE IN ANKHON MAIN HAI SAWAN KA MAUSAM BHI
TADAPTA DEKHNA MAQSAD HAI, JAAN LENA NAHEEN USKA
BACHAANE JAAN ZAKHMI KI LAGAATA HAI WO MARHAM BHI
HAIN APNE APNE KHADSHE APNE APNE KHAUF AI MUSLIM
PARESHAN DAUR E HAAZIR MAIN MIYAN HAIN AAP BHI HAM BHI

Posted in Muslim Saleem's works | Leave a comment

PEER NANHE MIAN’S KARAAMAT AND KHANKHAH, BHOPAL (by Muslim Saleem)

PEER NANHE MIAN’S KARAAMAT AND KHANKHAH, BHOPAL

(Written by Muslim Saleem …Bhopal 11 January, 2019)

Khanqah Shareef Mujaddidi was founded by famous Muslim saint Hazrat Yaqub Mujaddidi alia Peer Nanhe Mian saheb Continue reading

Posted in Religion | Leave a comment

MUSLIM SALEEM – JAB BAY-HIJAB WO SAR E MEHFIL NIKAL PADAY

MUSLIM SALEEM – 9 JANUARY 2019
JAB BAY-HIJAB WO SAR E MEHFIL NIKAL PADAY
AANKHON KE RAASTE SE KAI DIL NIKAL PADAY
ITNA SUKOOT E BEHR E MAHABBAT HUA TAWEEL
MAUJON KO DHOONDHTE HUAY SAAHIL NIKAL PADAY
RAAHON SE BAY-KHABAR THAY MAGAR POOCH POOCH KAR
BAY-KAARWAN HI JAANIB E MANZIL NIKAL PADAY
MAAZI MAIN JINKE SAR THAY ZAMEEN SE LAGAY HUAY
HIMMAT DIKHAANE AAJ WO BUZDIL NIKAL PADAY
PHAILAYA WHATSUP NE KUCCH IS TARHA “ILM O FUN”
SAMJAHANE MAAHIREEN KO JAAHIL NIKAL PADAY

Posted in Muslim Saleem's works | Leave a comment

MUSLIM SALEEM – APNI KHOOBI NAHEEN, US KI KHOOBI THI SAB,

MUSLIM SALEEM – 7 JANUARY 2019
APNI KHOOBI NAHEEN, US KI KHOOBI THI SAB,
HAAN MAGAR HAM THAY RAAHI E RAAH E GHAZAL
MALKA E HUSN KI AISI TAREEF KI, SAB NE HAMKO
KAHA BADSHAH E GHAZAL
 
KAAM AAYA SUKHAN KA HUNAR, BAZM MAIN HAM BHI
THAY WO BHI THAY AUR KAI LOG THAY
GHAIR PAR RAAZ E ULFAT NAHEEN KHUL SAKAA, DIL
NE DIL SE KAHA SAB BARAAH E GHAZAL
 
ROZGAAR E JAHAN KE HAZAROM ALAM CHHEEN SAKTE NAHEEN MUJH SE MERA SUKUN
JANNAT E NAGHMA O TARB KAHIYE JISE,
HAI MIRE PAAS WO AISH-GAAH E GHAZAL
 
RAAG MAIN RANG MAIN ISHQ KI JANG MAIN, ZINDAGANI KA KOI BHI MAIDAN HO
PAST KAR DEN HAREEFON KE LASHKAR KO JO, MERE ALFAAZ HAIN WO SIPAH E GHAZAL
 
AISE DOOBE KHAYALON KI GEHRAI MAIN, TEH SE LE AAYE GAUHAR CHAMAKTE HUAY
IS KHARABI MAIN IK SARFARAZI BHI HAI, YUN TO HARCHAND HAM HAIN TABAAH E GHAZAL
Posted in Muslim Saleem's works | Leave a comment

Muslim Saleem majmooa Amad Amad as e-book on rekhta.org

Muslim Saleem majmooa Amad Amad as e-book on rekhta.org

https://www.rekhta.org/ebooks/aamad-aamad-muslim-saleem-ebooks/

Posted in Muslim Saleem's works | 1 Comment

MUSLIM SALEEM …KHWAB KI SARZAMEEN …NAYA SAAL MUBARAK

MUSLIM SALEEM …KHWAB KI SARZAMEEN …NAYA SAAL MUBARAK
THODI KAANTON BHARI AUR KUCHH MAKHMALEEN
AISI JADOO’EE DUNIYA KAHEEN BHI NAHEEN
REH KE DUNIYA MAIN PAHUNCHA DE ARSH E BAREEN
KHWAAB KI SARZAMEEN, KHWAAB KI SARZAMEEN

AAFAT E JAAN KABHI HAI TOU RAHAT KABHI
WASL E MEHBOOB AUR US SAY FURQAT KABHI
LAMS SE BAYRUKHI AUR IJAAZAT KABHI
KHWAAB KI SARZAMEEN, KHWAAB KI SARZAMEEN

JAAGTA SO KAY BHI DIL KAA ARMAAN TOU HAI
HAATH MAIN USKI ZULF E PAREESHAN TOU HAI
KUCHH BHI HO DIL BAHALNAY KA SAAMAAN TOU HAI
KHWAAB KI SARZAMEEN, KHWAAB KI SARZAMEEN

BHOOL JA RANJ O GHAM, MAT PARESHAN HO
JIS KI AGHOSH MAIN RAAHAT E JAAN HO
CHALIYE AISI JAGAH JIS MAIN IMKAAN HO
KHWAAB KI SARZAMEEN, KHWAAB KI SARZAMEEN

CHAND SAA;AT SAHI DAF E AALAAM HAI
BAYKASON KE LIYE EK IN’AAM HAI
FAIZ-YAAB IS SE HAR KHAS AUR AAM HAI

IS MAIN MILTAY TOU HAIN MAAH RUKH, MAH-JABEEN
YE TAMASHA MAGAR HAMKO BHAATA NAHEEN
SUBH HOTAY HI CHHAT JAYEN MANZAR HASEEN
KHWAAB KI SARZAMEEN, KHWAAB KI SARZAMEEN

Posted in Muslim Saleem's works | Leave a comment

MUSLIM SALEEM – IS LIYE THODI BHI DILCHASPI NAHEEN TAABEER MAIN

MUSLIM SALEEM – 30 DECEMBER 2018
IS LIYE THODI BHI DILCHASPI NAHEEN TAABEER MAIN
HAM HI HAM BAS HUKMRAAN HAIN KHWAB KI JAGEER MAIN
KUCHH AMAL MAIN MUNHAMIK HAIN AUR KUCHH TADBEER MAIN
IS SE SAB ANJAAN HAIN LIKHKHA HAI KYA TAQDEER MAIN
CHAASHNI LAFZON KI BHI HO GUFTUGOO KE SHEER MAIN
SOORATEN ACHHI SAHI, ACHHI BHI HON TASEER MAIN
RAUSHNI KE WO KHAZAANE HAIN TIRI TASWEER MAIN
HAM ANDHERE SE NIKAL KAR AA GAYE TANVEER MAIN
MANZILEN TOLEN GI USKO IZZAT O TAUQEER MAIN
SHART HAI JOSH E JUNOON BAS SEENA A RAHGEER MAIN
JAANE KIS KE PHOOL JAISE HAATH NE LIKHKHI HAI YE
BHEENI BHEENI MAST SI KHUSHBOO HAI IS TAHREER MAIN
AHANI KADIYON KO BESHAK TOD SAKTA THAA MAGAR
BAANDH KAR RAKHKHA HAI US NE PYAAR KI ZANJEER MAIN
ISHQ SACHCHA HAI HAMAARA DEKH LENA EK DIN
AAG ULFAT KI LAGAA DENGE DIL E BAYPEER MAIN
CHAND TINKE PYAAR KE JUD JAYEN TOU AI DOSTO!
UNKO PHIR BIKHRA DE YE TAQAT NAHEEN SHAHTEER MAIN
JAZBA E MUSLIM HAI LAA FAANI, BAQAA KO MAAT DE
KAAT KUCCH AISI NAHEEN DUNIYA TIRI SHAMSHEER MAIN

Posted in Muslim Saleem's works | Leave a comment

Muslim Saleem – 23 December 2018 Suraj ke saath saath wo rehta safar main hai

Muslim Saleem – 23 December 2018
Suraj ke saath saath wo rehta safar main hai
Deewar hai thami hui saaya safar main hai
Milta hai koi gar tou bichharta bhi hai koi
Rishton ka ik ajeeb tamasha safar main hai
Khidki se bus ki dhikti hai hat shai rawan dawan
Bachcha samajh raha hai ke duniya safar main hai
Manzil kab aa gayee naheen lagta hai kuchh pataa
Saathi koi haseen jo milta safar main hai
Duniya hai tere qadmon main ghar se nikal ke dekh
Pal pal taraqqiyon ka ishaara safar main hai
Tu ruk gaya tou Kya hua Muslim Zara ye dekh
Gardish main hai zameen zamana safar main hai

Posted in Muslim Saleem's works | Leave a comment

MUSLIM SALEEM – EK MUSHKIL GHAZAL

MUSLIM SALEEM – EK MUSHKIL GHAZAL
IDHAR BOLI UDHAR BOLI YAHAN BOLI WAHAN BOLI
KHULI IK BAAR TOU AISE ZABAN E BAY-ZABAN BOLI
GALA JAB GHUT GAYA TOU PHIR TAH E NOK E SINAAN BOLI
HAZARON HASRATON KE SAATH CHASHM E NEEM-JAAN BOLI
SAR E MAQTAL BHI SACHCHAI KI AISI SURKH-ROOI THI
HAQEEQAT AASHNA THI AUR HAQEEQAT KA BAYAN BOLI
KHIRAD WAALO! JUNOON E ISHQ KE NAQSH E QADAM CHOMO
HAMARI PUSHT PAR ISTADA GARD E KARWAAN BOLI
KIYE WOH WAR HAIBAT-KHEZ KE SHAMSHEER DUSHMAN KI
HAMARE SAAMNAY SAR KO JHUKA KAR AL-AMAAN BOLI
ZAMANA CHHOD DAY LEKIN MAIN TERAY SAATH HOON MUSLIM
HUAY TANHA TOU HAM SAY YUN HAMARI DASTAN BOLI

Posted in Muslim Saleem's works | Leave a comment

MUSLIM SALEEM – 19 DECEMBER 2018 YE AUR KUCHH NAHEEN, KHUSH-SUHBATI KA JADOO HAI

MUSLIM SALEEM – 19 DECEMBER 2018
YE AUR KUCHH NAHEEN, KHUSH-SUHBATI KA JADOO HAI
BADAN MAIN KHAAR KE PAIWAST GUL KI KHUSHBOO HAI
NIZAAM E ADL KA ZAALIM SE WAASTA HAI KOI
JHUKA HUA USI JAANIB HI KYUN TARAZOO HAI
QABAA HAI JISKI SANI KHOON E AADMEEYAT SAY
NAHEEN HAI BHIKSHOO, MAYANMAR KA HALAAKO HAI
SAMBHAL KE REHNA AGAR DOSTI HI KAR LI HAI
YE DANK MAARAY GA IK ROZ KYOONKE BICHH-CHHOO HAI
KARISHMA-SAAZI SIYASAT KI HAI YE AI MUSLIM
KE BAYEN BAZOO KAY HAMRAAH DAYAN BAZOO HAI

Posted in Muslim Saleem's works | Leave a comment

MUSLIM SALEEM – 16 DECEMBER 2018 TERI TA’EED SA KHUDA! HAM NAY

MUSLIM SALEEM – 16 OCTOBER 2018
TERI TA’EED SA KHUDA! HAM NAY
WO JO MUMKIN NA THAA KIYA HAM NAY
ARSH SAY PAYI JAB SHAFA HAM NAY
FARSH PAR PHENK DI DAWA HAM NAY
BAAT KARTI THEEN ASHK-BAAR ANKHEN
YUN KYA ARZ MUDDA’A HAM NAY
HAR QADAM PAR SHIKAST KHAANE KA
RAKH DIYA NAAM HAUSLA HAM NAY
WO JAFA HAI JO US NAY KI HAI JAFA
WO WAFA HAI JO KI WAFA HAM NAY KI

Posted in Muslim Saleem's works | Leave a comment

MUSLIM SALEEM – HAMAARE PAAS BHI AURAQ HAIN KUCHH

MUSLIM SALEEM – 30 November 2018
HAMAARE PAAS BHI AURAQ HAIN KUCHH
ALAM YE HAI KE NAZR E TAAQ HAIN KUCCH
IBAADAT KARNE WAALE HAIN KARORON
MAGAR HAAN AARIF E KHALLAQ HAIN KUCHH
NIZAM O SABIR O KHWAJA HAIN MARJA’
WO SHAKHSEEYAT JO CHIQMAAQ HAIN KUCHH
NAI NASLO! SUNO! MAIRAY SUKHAN MAIN
TUMHAARE WAASTE ASBAAQ HAIN KUCCH
GIRAAN HAIN QARZ-HAA-E ZINDAGANI
ABHI BAAQI HAIN KUCCH, BEBAAQ HAIN KUCCH

KHALLAQ: KHUDA, CHIQMAAQ: MAGNET, ASBAAQ:

LESSONS

Posted in Muslim Saleem's works | Leave a comment

MUSLIM SALEEM – qata… AAJKAL USKI BADI AUQAT HAI

MUSLIM SALEEM – 8 JULY 2019
AAJKAL USKI BADI AUQAT HAI
MEDIA KA JHOOT JISKE SAATH HAI
LOOTNE NIKLI HAI SAARE MULK KO
BACH KE REHNA CHORON KI BAARAT HAI

Posted in Uncategorized | Leave a comment

MUSLIM SALEEM – 16 APRIL 2019 NA JAANE AUR KITNE MOD BAQI HAIN FASAANE MAIN

MUSLIM SALEEM – 16 APRIL 2019
NA JAANE AUR KITNE MOD BAQI HAIN FASAANE MAIN
JO DIL MAIN AA GAYE UNKO JHIJHAK HAI PAAS AANE MAIN
KASAR KOI UTHHA RAKHTE NAHEEN HAIN ZULM DHAANE MAIN
MAGAR MASOOMIYAT RAKHTE HAIN QAYAM MUSKURAANE MAIN
HUAY BARBAD HAM BAYSHAK, KHUSHI KI BAAT HAI LEKIN
TUMHARA NAAM LEKAR HAM KO LOOTA HAI ZAMAANE MAIN
KHUD APNE MUNH SE KEH DETE TOU YOON CHARCHA NAHEEN HOTA
HUAY KUCHH AUR BHI BADNAAM RAAZ E DIL CHHUPAANE MAIN
KISI KE KAAM TOU AAYEE HAI BARBADI MIRI MUSLIM
MITAA DAALI HAI HASTI YAAR KO IK PAL HANSAANE MAIN

Posted in Uncategorized | Leave a comment

“Shahr dar shahr ghazal” programme organised, Muslim Saleem feted

“Shahr dar shahr ghazal” programme organised, Muslim Saleem feted
March 5, 2019 admin In MUSLIM SALEEM’S WORKS

left photo ) Zafar Sehbai garlanded Muslim Saleem ( right ) Shashank, Ahad Prakash and Vijay Vate

I (Muslim Saleem) PRESIDED OVER PROGRAMME “SHAHR DAR SHAHR GHAZAL” OF UPCOMING SINGER SHASHANK AT THE RESIDENCE OF JANAB AHAD PRAKASH ON FEBRUARY 4, 2019. IN THE PHOTO GREAT POET JB ZAFAR SEHBAI GARLANDED ME. SHASHANK SANG GHAZALS BY MANY BIG URDU POETS INCLUDING ALLAMA IQBAL TO WIN ACCOLADES OF AUDIENCE WHICH INCLUDED GLITTERATI OF URDU/HIND CIRCLES INCLUDED POET SARWAT ZAIDI BHOPAL, ZAFAR SEHBAI, JOURNALIST ARPAN JAIN, POETESS DR PREETI SURANA, JB VIJAY VATE, SENIOR JOURNALIST SHRI SHEETAL. JB TAJ UDDIN TAJ, POETESS DR.AMBER ABID, POET MALIK NAVED, SINGER JB YAQUB MALIK KHAN, DR SWARANJALI, DR HASRAT JAHAN, DR YASMEEN KHAN, JB MAHESH AGARWAL, SHASHANK’S FATHER MR A.K. TAILOR AMONG OTHERS.
Preei Surana, Shashank, Taj Uddin Taj
Ahad Prakash,, Shashank, Taj Uddin Taj, Sarwat Zaidi Bhopali
Farah Khan, Shashank, Aijaz Khan, Qazi Malik Naved
Arpan Jain, A.R. Tailor
Ahad Prakash felicitating Shashank
شہر در شہر غزل‘ میں ششانک کی گائکی کی دھوم
بھوپال۔ نوجوان غزل سرا ششانک تھاڑا (ممبئی) نے اپنی سریلی سرگموں پر علامہ اقبال، ڈاکٹر بشیر بدر ، وجے واتے، ساز جبلپوری، ، احد پرکاش ، تاج الدین تاج اور دیگر شعرا کی غزلیں سناکر سامعین کو سحر زدہ کر دیا۔ ’شہر در شہر غزل‘ کے تحت یہ غزل سرائی شاعر و ادیب جناب احد پرکاش کے دولت کدہ واقع ۲۱ کوارٹر، کوہِ فضا میں ۴ مارچ ۹۱۰۲ کو منعقد کی گئی۔ اس کی صدارت بین الاقوامی شاعر جناب مسلم سلیم نے فرمائی جبکہ جناب وجے واتے مہمانِ خصوصی اور اندور سماچار کے ایڈیٹر ارپن جین، پریتی سرانا نیز بھوپال کے مستند شاعر جناب ظفر سہبائی مہمان ذی وقار تھے۔
’شہر در شہر غزل‘ سلسہ کے تحت مقامی شعراءکو منظر عام پر لانے کی یہ مہم بھوپال سے 2003 میں شروع کی گئی تھی جسکے روح رواں جناب احد پرکاش ہیں۔فی زمانہ ملک کے ۸۱ شہرو ں میں یہ منعقد کی جا چکی ہے۔ ششانک جو ’شہر در شہر غزل‘ کے مخصوص غزل سرا ہیں ۲۱برس کی عمر سے ہی غزل گائکی میں ایک روشن ستارہ کی طرح ابھرے ہیں اور اردو کی بیش بہا خدمت انجام دے رہے ہیں۔
تقریب کا آغاز جناب ظفر سہبائی کے ہاتھوں جناب مسلم سلیم اور دیگر مہمانان کی گلپوشی سے ہوا۔احد پرکاش کی صاحبزادی اور ’شہر در شہر غزل کی اہم رکن فرح خاںنے ششانک کا تعارف پیش کیا جس کے بعد غزل سرئی کا مخملیں دور شام ۴ سے ۶ بجے تک جاری رہا۔
صدر جناب مسلم سلیم کے علاوہ جناب احد پرکاش، جناب وجے واتے ، لکشمی ناراین پیودھی، یوگیش شرما اور ظہیر قریشی وغیرہم نے ششانک کی غزل سرائی پر روشنی ڈالی اور ان کے تابناک مستقبل کی خوش خبری دی۔ششانک کے انجینئر والدجناب آر۔کے۔ٹیلر نے ان کے غزل گائک بننے کے عزم پر روشنی ڈالی۔ ششانک کی گائی ہوئی غزلوں کی ایک کتاب بھی منظرعام پر آنے والی ہے۔
تقریب کی شرکاءمیں اندورسماچار کے سینئر صحافی ارپن جین، جناب شیتل، خوش فکر شاعر ثروت زیدی بھوپالی، تاج الدین تاج، قاضی ملک نوید، شاعرات ڈاکٹر عنبر عابد، پریتی سُرانہ، یوگیش شرما ، ڈاکٹر حسرت جہاں، ڈاکٹر یاسمین خاںڈاکٹرسورانجلی ، اعجاز خاں، مہیش اگروال ، ڈاکٹر حسام الدین ، محترمہ فلاح خاںاور دیگر عمائدینِ شہر شامل تھے۔

Posted in Uncategorized | Leave a comment